Monday, July 31, 2006

Khud b khud ( Courtsey Punita)

kabhi to mushkil hoti hai,
tamanna-e-dil samajhne mein,
aur chahat hoti hai,
kabhi samne khud-b-khud !

kabhi taalaab mein
ufan bhi nahin hota
kabhi uthne lagta hai
tufaan talayion mein khud-b-khud !

meri nigahon ke asar mein
farishte to tum ban gaye
par farishton ke safar bhi
dhalne lagte hain khud-b-khud !

Aashiyana banaya meine
badi majbooti aur pyar se
dolti duniya ke zami pe magar
ukhad jaate hain jadh khud-b-khud !

ittafaq se mile kahin
ittefaq se pyar hua
bhaagti duniya ke saath hi
bichadh bhi gaye khud-b-khud !

ek insaan, chehre kayi
har chehre mein vahi insaan
meine aayine mein jhaankar dekha hai
chehre badal gaye khud-b-khud !

tum chaahe mujhse milo ya
yun hi kahin duur raho
ye chaahat ki nadiyaan hai
behne lagi khud-b-khud !


rishton ko saraha bhi tha
phoolon se sambhala bhi tha
vakt ke thapadein khaakar magar
phool jhad jaate hain khud-b-khud

strings of poetry..

Zindagi har mor par,
tujhse kyon samjhota karun?
Shauk jeene ka hai,
par itna bhi nahin